Koi Nahin Mera is Duniya Mein Lyrics - Talat Mahmood

Koi Nahin Mera is Duniya Mein lyrics, the song is sung by Talat Mahmood from Daag (1952). The music of Koi Nahin Mera is Duniya Mein Sad track is composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi while the lyrics are penned by Hasrat Jaipuri.

Chaand ek bevaa ki
Chudi ki tarah tutaa huaa
Har sitara besahara
Soch mein dubaa huaa
Gam ke baadal ik janaaze
Ki tarah thahare hue
Sisakiyon ke saaz par
Kehata hai dil rotaa huaa

Koi nahin meraa is duniya
Mein aashiaan barbaad hai
Aansu bhari mujhe qismat
Mili hai zindagi naashaad hai
Ki nahin meraa is duniya
Mein aashiaan barbaad hai

bharatlyrics.com

Jaa havaa tu rastaa le apna
Qismat hai meri ji ke tadpna
Jaa havaa tu rastaa le apna
Qismat hai meri ji ke tadpna
Jaa havaa tu rastaa le apna

Qismat hai meri ji ke tadpna
Aayi hai mere gam pe javaani
Roti hui ik yaad hai
Koi nahin meraa is duniya
Mein aashiaan barbaad hai

Sukh chuke hain aankhon ke jharane
Lut liyaa hamein daag e jigar ne
Sukh chuke hain aankhon ke jharane
Lut liyaa hamein daag e jigar ne

Phul nahin ye zakhm khile hain
Phul nahin ye zakhm khile hain
Aasamaan saiyyaad hai
Aasamaan saiyyaad hai

Koi nahin meraa is duniya
Mein aashiaan barbaad hai
Koi nahin meraa is duniya
Mein aashiaan barbaad hai

Mausam dukho ka sar par hai chaya
Mujse juda hai khud mera saya
Mausam dukho ka sar par hai chaya
Mujse juda hai khud mera saya

Hum hai akele gum ke hai mele
Dard ki fariyaad hai
Koi nahin meraa is duniya
Mein aashiaan barbaad hai.

Koi Nahin Mera is Duniya Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download