Kya Kya Na Log Chal Base Lyrics - Lata Mangeshkar

Kya Kya Na Log Chal Base lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Hyderabad Ki Nazneen (1952). Kya Kya Na Log Chal Base Sad soundtrack was composed by Vasant Desai with lyrics written by Noor Lakhnavi.

Kya kya na log chal base
Kya kya na log chal base
Shauq e jamaal e yaar mein
Hamse hazaaron mit gaye
Hamse hazaaron mit gaye
Haalat e intezaar mein

bharatlyrics.com

Poori tarah khile na phool
Rah gayin dil mein hasratein
Rah gayin dil mein hasratein
Baag hi sara jal gaya
Baag hi sara jal gaya
Aag lagi bahaar mein
Kyaa kyaa na log chal base
Shauq e jamaal e yaar mein

Pheeki padi hai chaandni
Taare bhi jhilmilaate hain
Taare bhi jhilmilaate hain
Sab hain nazar mein beqaraar
Sab hain nazar mein beqaraar
Dil jo nahin qaraar mein
Kya kya na log chal base
Shauq e jamaal e yaar mein

Mit bhi gaye to kya huaa
Maut hai ek zindagi
Maut hai ek zindagi
Ek naam aur badh gaya
Ek naam aur badh gaya
Duniya ki yaadgaar mein
Kya kya na log chal base
Shauq e jamaal e yaar mein.

Kya Kya Na Log Chal Base Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download