Main Raasta Lyrics - Junaid Khan, Momina Mustehsan

Main Raasta lyrics, the song is sung by Junaid Khan, Momina Mustehsan from Coke Studio Pakistan - Season 9 (2016). The music of Main Raasta Folk track is composed by Noori (Band) while the lyrics are penned by .

Main tum se kahta hoon
Ye aasamaan tumhaare hain
Nah maano gi par tum
Ye waqt ke ishaare hain

Main tum se kahti hoon
Zamaane sab puraane hain
Mere jahaan ki hadden
Aasmaan se aage hain
Main chal pari nikal ke
Thaame haathon main sapne

Apne naseebon ko likhen ham iraadon se
Aa zindagi, kuch paale abhi

Main to chali kho jaane kahi
Main raasta aur main hi safar
Hon manzilen ruk nah paaen magar
Chalta rahe sab se befikar
Yeh silsile ruk na paaen magar

Mud ke na dekha main ne guzra jo kal tha
Baatein puraani bekaar hain
Na main ne seekha pal pal ka yeh jeena
Kho kar kuch paaya hai to aage badhe

Aa zindagi, kuch paale abhi
Tu to chali kho jaane kahi
Main raastah aur main hi safar
Hon manzilen ruk nah paaen magar
Chalta rahe sab se befikar
Yeh silsile ruk na paaen magar

Ham hain raasta
Ham hain zindagi
Ham hain aasmaan
Ham hain raushani

Hum hain raushani
Hum hain raushani

bharatlyrics.com

Main raastah aur main hi safar
Hon manzilen ruk nah paaen magar
Chalta rahe sab se befikar
Yeh silsile ruk na paaen magar.

Main Raasta Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download