Main Tumhara Ho Liya Lyrics - Asha Bhosle, Mohammed Rafi

Main Tumhara Ho Liya lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi from Maya Jaal (1962). The music of Main Tumhara Ho Liya Romantic track is composed by S. N. Tripathi while the lyrics are penned by Qamar Jalalabadi.

Main tumhara ho liya
Aur tu humari holi
O tu humari holi
Duniya pyar ki dushman hai
Duniya ko maaro goli

Yeh toh bata o pehle se
Main tumhari ho li
Yeh toh bata o pehle se
Main tumhari ho li
Is duniya mein reh kar
Kaise maare goli
Duniya ko maaro goli

Teri meri jhamegi kaise
Pagle pyaar ki baat
Na jaanu tera naam thikana
Na jaanu teri jaat
Pagle na jaanu teri jaat
Jaat pyaar ki dushman
Jaat pyaar ki dushman
Is jaat ko maaro goli
Duniya pyar ki dushman hai
Duniya ko maaro goli

bharatlyrics.com

Pyar ki duniya mein hum dono
Milkar sher karenge
Aji milkar sher karenge
Dikhege baapu aiyya bhaiyaa
Hum bemoat marenge
Haay re hum bemoat marenge
Moat pyar ki dushman hai
Moat pyar ki dushman hai
Aji moat ko maaro goli
Main tumhara ho liya
Aur tu humari holi
Duniya pyar ki dushman hai
Duniya ko maaro goli

Pyar mein hoti hain
Badnaami izzat ki barbaadi
Saiyyan izzat ki barbaadi
Isi liye toh kehta hoon
Bas karlo mujhse shaadi
Aji karlo mujhse shaadi
Shaadi pyar ki dushman hain
Aay kya bolti
Shaadi pyar ki dushman hain
Shaadi ko maaro goli
Main tumhara ho liya
Aur tu humari holi
Duniya pyar ki dushman hai
Duniya ko maaro goli.

Main Tumhara Ho Liya Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download