Maine Pyar Kyun Kiya Lyrics - Altamash Faridi, Rani Hazarika, Mohammed Irfan

Maine Pyar Kyun Kiya lyrics, the song is sung by Altamash Faridi, Mohammad Irfan, Rani Hazarika from Risknamaa (2019). The music of Maine Pyar Kyun Kiya Sad track is composed by Praveen Babbar, Rajesh while the lyrics are penned by Sanjit Nirmal Gurjar.

Maine Pyar Kyun Kiya Lyrics

Dard bana har libash mera
Ab gham ko odh ke sota hoon

Dard bana har libash mera
Ab gham ko odh ke sota hoon
Maayusiyon ke bistar pe
Khamosh hoke rota hoon
Sochta hoon sada
Maine pyaar kyun kiya?
Aitbaar kyun kiya?
Maine pyaar kyun kiya?

Mere sisakne ki sadayein
Kaash hawa ye sun leti
Mere sisakne ki sadayein
Kaash hawa ye sun leti
Bechainiyon ke baago mein woh
Rahat ki kaliyan bun deti
Ishq ki nakaami ko ab main
Sir pe leke dhoota hoon
Sochta hoon sada
Maine pyaar kyun kiya?
Aitbaar kyun kiya?
Maine pyaar kyun kiya?

Waqt mere hathon mein aake
Kyun aise hi fisal gaya
Hmm waqt mere hathon mein aake
Kyun aise hi fisal gaya
Karke wada umra bhar ka
Kyun ab jaan badal gaya
Andhero se shikva nahi
Roshani se naraz ab rehta hoon
Sochta hoon sadaa
Maine pyar kyun kiya
Aitbaar kyun kiya
Maine pyar kyun kiya

Maine Pyar Kyun Kiya Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download