Maula Lyrics - Krishna Beura

Maula lyrics, the song is sung by Krishna Beura from Monsoon (2015). The music of Maula Pray, Qawwali track is composed by Biswajit Bhatacharjee while the lyrics are penned by Krishna Bharadwaj.

Jharre jharre mein mere maula
Tere dar ka charcha hai
Aaya yahaan jo banke sawaali
Maayush kahaan woh rehta hai

O maula mere rehmat karde
Nazrein karam ki rehmat karde
Aangan aangan noor hai tera
Aangan aangan noor hai tera
Poori sabki hasrat karde
Maula mere rehmat karde
Nazrein karam ki rehmat karde

Maangu na koi daulat shohrat
Gar tu hai toh itna karde
Ho maangu na koi daulat shohrat
Gar tu hai toh itna karde
Jeena sakegi wohtanha akeli
Saath mein uska rehbar karde
Phool hi phool na gham ke kaante
Phool hi phool na gham ke kaante
Aisi uski kismat karde
Maula mere rehmat karde
Nazrein karam ki rehmat karde

Teri khushboo se mehke
Har ghulshan mere maula
Har rasta har manzil
Ho roshan mere maula
Teri khushboo se mehke
Har ghulshan mere maula
Har rasta har manzil
Ho roshan mere maula

O raahe wahin hai wohi makaan sab
Par woh baat na teri gali mein
Daraare ghin daali sab uthake deewar ki
Phir bhi aas na gayi ek deedar ki

bharatlyrics.com

Raahe wahin hai wohi makaan sab
Par woh baat na teri gali mein
Tere bina beman se dhalte
Din ya raat haan teri gali mein
Phir se basade phir se saja de
Phir se basade phir se saja de
Sooni galiyan jag mag karde
Maula mere rehmat karde
Nazrein karam ki rehmat karde
Maula mere rehmat karde
Nazrein karam ki rehmat karde.

Maula Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download