Mere Banne Ki Baat Lyrics - Asha Bhosle, Shamshad Begum

Mere Banne Ki Baat lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Shamshad Begum from Gharana (1961). Mere Banne Ki Baat Marriage soundtrack was composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi) with lyrics written by Shakeel Badayuni.

Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai
Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai

Kyu na ho uski shan anokhi
Unche gharane wala hai
Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai

Meri bani ke rup se ghar
Me charo taraf ujiyala hai
Meri bani ke rup se ghar
Me charo taraf ujiyala hai

Uske gore mukhade ke aage
Chand ka rang bhi kala hai
Meri bani ke rup se ghar me
Charo taraf ujiyala hai
Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai

Dekh samdhan tu mere
Samne sekhi na jata
Kon sur khab kapar teri
Dulhan me hai laga

Usko duniya me koi
Puchhane wala hi na tha
Usko duniya me koi
Puchhane wala hi na tha

Wo to dulha ko dua de
Jo use bayah laya
Wo to dulha ko dua de
Jo use bayah laya

Teri bani ke gal hai papad
Tedi medi aankhe hai
Aeji tedi medi aankhe
Hai aeji tedi medi aankhe hai

Oo nak pakoda hoth hai
Sukhe uljhi uljhi julfe hai
Aeji uljhi uljhi julfe hai
Aeji uljhi uljhi julfe hai

Mera banna hai wo shajada
Jo najo ka pala hai
Mera banna hai wo shajada
Jo najo ka pala hai

Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me
Charo taraf ujiyala hai

Dekh banno mere aage
Tu badi bat na kar
Aisa hai tera bana jaise
Ho bura bandar

Karke shadi kiya ahshan
Dulhan ne us par
Karke shadi kiya ahshan
Dulhan ne us par

Warna aise ko bhala
Kon banata shohar
Warna aise ko bhala
Kon banata shohar

Tere banne ki unth si
Gardan saras jaisi tange hai
Aeji saras jaisi tange hai
Aeji saras jaisi tange hai

bharatlyrics.com

Chuhe jaise kan hai uske
Kchhuye jaisi chale hai
Aeji kchhuye jaisi chale
Hai aeji kchhuye jaisi chale hai

Mere banne ka najuk
Mukhada albela matwala hai
Mere banne ka najuk
Mukhada albela matwala hai

Meri bani ke rup se ghar
Me charo taraf ujiyala hai
Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai

Baith sidhi ari samdhan
Na dikh ye garmi
Man le har tu ab chhod
De ye hathdharmi

Ja ri ja mai nahi in
Bato se dabne wali
Ja ri ja mai nahi in
Bato se dabne wali

Tere muh kon lage yu
Na dikha besharmi
Tere muh kon lage yu
Na dikha besharmi

Ha mere banne ki sas nikammi
Sasure hai das number ke
Aeji sasure hai das number
Ke ha ha sasure hai das number ke

Mere banni ki nanad nikhatu
Dhang bure hai ghar bharke
Aeji dhang bure hai
Ghar bharke ha ha
Dhang bure hai ghar bharke

Oo ho teri dulhan ka sara
Gharana aafat chhipakar pala hai
Teri dulhan ka sara gharana
Aafat chhipakar pala hai

Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar
Me charo taraf ujiyala hai

Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me
Charo taraf ujiyala hai

Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me
Charo taraf ujiyala hai

Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me
Charo taraf ujiyala hai

Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me
Charo taraf ujiyala hai
Mere banne ki bat na puchho
Mera banna hariyala hai.

Mere Banne Ki Baat Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download