Moonh Ki Baat Lyrics - Penaz Masani

Moonh Ki Baat lyrics, the song is sung by Penaz Masani from Dil Mein Aankhon Mein (2010). Moonh Ki Baat Ghazal soundtrack was composed by Penaz Masani with lyrics written by .

Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Aawazo ke baazaro mein khamoshi
Khamoshi pehchane kaun
Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Moonh ki baat

bharatlyrics.com

Sadiyo sadiyo woh tamaasha
Rasta rasta lambi khoj
Sadiyo sadiyo woh tamaasha
Rasta rasta lambi khoj
Lekin jab ham mil jaata hai
Kho jaata hai
Kho jaata hai jaane kaun
Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Moonh ki baat

Jaane kya kya bol raha tha
Jaane kya kya bol raha tha
Sarhad pyar kitaabein ho
Kal meri neendo mein chhupkar
Jaag raha tha
Jaag raha tha jaane kaun
Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Moonh ki baat

Main uski parchhyi hun ya
Woh mera aaina hai
Main uski parchhyi hun ya
Woh mera aaina hai
Meri hi ghar rehta hai
Mujh jaisa hi
Mujh jaisa hi jaane kaun
Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Moonh ki baat

Kiran kiran barsaata suraj
Palak palak khulti neende
Kiran kiran barsaata suraj
Palak palak khulti neende
Dhheme dhheme bikhar
Raha hai zarra zarra
Zarra zarra jane kaun
Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Aawazo ke baazaro mein
Khamoshi pehchane kaun
Moonh ki baat sune har koi
Dil ke dard ko jaane kaun
Dil ke dard ko jaane kaun
Dil ke dard ko jaane kaun.

Moonh Ki Baat Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download