Mujhpe Ilzaam E Bewafaayi Lyrics - Lata Mangeshkar

Mujhpe Ilzaam E Bewafaayi lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Yasmin (1955). Mujhpe Ilzaam E Bewafaayi Sad soundtrack was composed by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) with lyrics written by Jan Nisar Akhtar.

Mujhpe ilzaam-e-bewaffaayee hai
Mujhpe ilzaam-e-bewaffaayee hai
Ae mohabbat teri duhaayee hai
Mujhpe ilzaam-e-bewaffaayee hai

bharatlyrics.com

Usne thaani hai zulm dhaane ki
Mujhmein himmat hai gham uthaane ki
Usne thaani hai zulm dhaane ki
Mujhmein himmat hai gham uthaane ki
Khush ho, aei dil , tujhe mitaane ki
Khush ho, ae dil, tujhe mitaane ki,
Mitaane ki
Aaj usne qasam to khaayee hai
Ae mohabbat teri duhaayee hai
Mujhpe ilzaam-e-bewaffaayee hai

Tu hua dil se kab judaa keh de
Mujhse kyun ho gaya khaffaa keh de
Tu hua dil se kab judaa keh de
Mujhse kyun ho gaya khaffaa keh de
Tu hi insaaf se zaraa keh de
Tu hi insaaf se zaraa keh de
Zaraa keh de
Kisne shart-e-waffa bhulaayee hai
Aemohabbat teri duhaayee hai
Mujhpe ilzaam-e-bewaffaayee hai

Hai gawaaraa tera sitam mujhko
Har jaffa hai teri karam mujhko
Jaan jaaye,
Nahin hai gham mujh ko
Jab mohabbat pe baat aayee hai
Ae mohabbat teri duhaayee hai
Mujhpe ilzaam-e-bewaffaayee hai.

Mujhpe Ilzaam E Bewafaayi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download