Mujhse Puchh Mere Meet Lyrics - Kishore Kumar

Mujhse Puchh Mere Meet lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Dil Aur Deewaar (1978). Mujhse Puchh Mere Meet Happy soundtrack was composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) with lyrics written by Anand Bakshi.

Mujhse puchhe mere meet
Geet kaise bante hai
Kya hai bhed kya hai reet
Geet kaise bante hai
Mujhse puchhe mere meet

bharatlyrics.com

Pagal hote hai kuchh log
Jinko lagta hai ye rog
Pagal hote hai kuchh log
Baithe aahe bharte hai
Kagaj kale karte hai
Dil mein aati hai jo baat
Likhte jate hai din raat
Usse un deewano ko
Kisi se ho jati hai preet
Geet kaise bante hai
Mujhse puchhe mere meet
Mujhse puchhe mere meet

Geeto ke hai roop anek
Unme se ye roop hai ek
Geeto ke hai roop anek
Unme se ye roop hai ek
Gori ke matware nain
Lejate hai dil ka chain
Gori ki matwari chal
Ban jati hai sur aur tal
Gori ke do mithe bol
Ban jate hai man sangeet
Geet kaise bante hai
Mujhse puchhe mere meet
Geet kaise bante hai
Kya hai bhed kya reet
Geet kaise bante hai
Mujhse puchhe mere meet.

Mujhse Puchh Mere Meet Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download