Murakh Hai Jo Sagar Lyrics - Hemanta Kumar Mukhopadhyay

Murakh Hai Jo Sagar lyrics, the song is sung by Hemanta Kumar Mukhopadhyay from Bahu (1955). The music of Murakh Hai Jo Sagar Philosophical track is composed by Hemanta Kumar Mukhopadhyay while the lyrics are penned by Shamsul Huda Bihari (S. H. Bihari).

Murkh hai jo sagar ki
Maujo me fas kar rota hai
Is sagar me mauje hai
Uska bhi kinara hota hai
Chhod de naiya bhawar
Me dar nahi tufan se
Chhod de naiya bhawar
Me dar nahi tufan se
Mangne wale ko milti hai
Madad bhagwan se
Chod de chod de naiya

Kahte hai dunia jise julm
O sitam ka nam hai
Kahte hai dunia jise julm
O sitam ka nam hai
Thokre khakar sambhalna
Hi hamara kam hai
Bhul to hoti rahegi
Umar bhar ye tu than lw
Chod de chod de naiya

bharatlyrics.com

Apne malik par bharosha
Hai tujhe nadan
Apne malik par bharosha
Hai tujhe nadan
Gum tujhe kis bat ka hai
Dekh dunia se na dar
Mangta hai kyu bhikh
Daya ki insan se
Chhod de naiya bhawar
Me dar nahi tufan se
Mangne wale ko milti hai
Madad bhagwan se
Bhagwan se bhagwan se.

Murakh Hai Jo Sagar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download