Na Kisi Ki Aankh Ka Lyrics - Mohammed Rafi

Na Kisi Ki Aankh Ka lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Lal Quila (1960). Na Kisi Ki Aankh Ka Ghazal soundtrack was composed by S. N. Tripathi with lyrics written by Bahadur Shah Zafar.

Na kisi ki aankh ka noor hu
Na kisi ki aankh ka noor hu
Na kisi ke dil ka karar hu
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main wo ek mushthe gubar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu

Na to main kisi ka habib hu
Na to main kisi ka rakib hu
Jo bigad gaya wo nasib hu
Jo ujad gaya wo dayar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu

bharatlyrics.com

Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar muhjse bichhad gaya
Jo chaman fiza se ujad gaya
Main usi ki fasle bahar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu

Pay fatiha koi aaye kyo
Koi char phool chadhaye kyo
Koi aake shamma jalaye kyo
Main wo bekasi ka majar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu
Na kisi ke dil ka karar hu
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main wo ek mushthe gubar hu
Na kisi ki aankh ka noor hu.

Na Kisi Ki Aankh Ka Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download