Na Ro Tu Yaha Aise Pagala Kahi Ka Lyrics - Mohammed Rafi

Na Ro Tu Yaha Aise Pagala Kahi Ka lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Pagla Kahin Ka (1970). Na Ro Tu Yaha Aise Pagala Kahi Ka Sad soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Shamsul Huda Bihari (S. H. Bihari).

Na ro tu yaha aise pagala kahi ka
Musibat ko apne gale se laga le
Tere gham duniya tujhe de gaye hai
Yaha se waha ruth kar jane wale

Aey mere dil yaha tu akela nahi
Aur bhi hai bahut gham ke mare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi
Aur bhi hai bahut gham ke mare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi

bharatlyrics.com

Har kadam par yaha aur har mod par
Gham ki ek dastaa keh rahi har nazar
Keh rahi har nazar
Kitani bechainiya  rah ke khamosh bhi
De rahi hai sada bin pukare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi

Pyar jisne kiya usko pagal kaha
Apni duniya mein ye zulm hota raha
Zulm hota raha
Saikado baar ye khel khela gaya
Saikado baar aise nazaare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi
Aur bhi hai bahut gham ke mare huye

Aise insaan maine dekhe kai
Maut jinke liye zindagi ban gayi
Jinki aaho se hai gungati ye fiza
Jinke aansoo gagan ke sitare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi
Aur bhi hai bahut gham ke mare huye
Aey mere dil yaha tu akela nahi.

Na Ro Tu Yaha Aise Pagala Kahi Ka Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *