Na Umeed Ho Lyrics - Lata Mangeshkar

Na Umeed Ho lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Sangeeta (1950). Na Umeed Ho Sad soundtrack was composed by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra) with lyrics written by Pyarelal Santoshi.

Na umeed ho ke bhi
Duniya mein jiye jaate hai
Dil tut gaya phir bhi
Hum pyar kiye jaate hai
Na umeed ho ke bhi

Jeen aankhon mein rehti thi
Ek pyar bhari masti
Un aankhon mein aansu hai
Barbad huyi basti
Jeen aankhon mein rehti thi
Ek pyar bhari masti
Un aankhon mein aansu hai
Barbad huyi basti
Aansu bhi hum apne
Ro ro ke piye jaate hai
Dil tut gaya phir bhi hum
Pyar kiye jaate hai
Na umeed ho ke bhi

Bedard zamane ne
Rehne na diya mil ke
Sab tut gaye sapne
Armaan bhare dil ke
Bedard zamane ne
Rehne na diya mil ke
Sab tut gaye sapne
Armaan bhare dil ke
Ruthi hui kismat se
Fariyaad kiye jaate hai
Ruthi hui kismat se
Fariyaad kiye jaate hai
Dil tut gaya phir bhi
Hum pyar kiye jaate hai
Na umeed ho ke bhi

bharatlyrics.com

Na umeed ho ke bhi
Duniya mein jiye jaate hai
Dil tut gaya phir bhi
Hum pyar kiye jaate hai
Na umeed ho ke bhi.

Na Umeed Ho Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download