Nazro Se Nazar Ka Takrana Lyrics - Mohammed Rafi, Pramodini Desai

Nazro Se Nazar Ka Takrana lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi, Pramodini Desai from Fariyaadi (1953). The music of Nazro Se Nazar Ka Takrana Playful track is composed by B.N. Bali while the lyrics are penned by .

Nazro se nazar ka takrana
Aankho me kisi ka muskana
Nazro se nazar ka takrana
Aankho me kisi ka muskana
Muska kar dil me utar aana
Ek mitha dard sa ban jana
Muska kar dil me utar aana
Ek mitha dard sa ban jana
Haye ban jana

Kya isko mohabbat
Kya isko mohabbat kahte hai
Kya iska naam mohabbat hai
Kya isko mohabbat kahte hai

Nazro se nazar jab takrai
Wo muskaye mai sharmai
Nazro se nazar jab takrai
Wo muskaye mai sharmai
Tasvir banane wale ki
Dil me tasvir utar aayi
Tasvir banane wale ki
Dil me tasvir utar aayi
Haye utar aayi

Kya isko mohabbat
Kya isko mohabbat kahte hai
Kya iska naam mohabbat hai
Kya isko mohabbat kahte hai

Dekho unke zanzir bane
Masum ishare tir bane
Tasvir kisi ki kya lete hum
Dekh ke khud tasvir bane
Tasvir bane

Kya isko mohabbat
Kya isko mohabbat kahte hai
Kya iska naam mohabbat hai
Kya isko mohabbat kahte hai

bharatlyrics.com

Jab sab duniya so jati hai
Khamosh faja ho jati hai
Mujhe unka khayal aa jata hai
Mujhe unki yaad satati hai
Haye satati hai

Kya isko mohabbat
Kya isko mohabbat kahte hai
Kya iska naam mohabbat hai
Kya isko mohabbat kahte hai.

Nazro Se Nazar Ka Takrana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download