O Priya Lyrics - Milind Ingle, Shikha

O Priya lyrics, the song is sung by Milind Ingle, Shikha from Yeh Hai Prem (1999). O Priya Marriage soundtrack was composed by Milind Ingle with lyrics written by Shyam Anuragi.

O priya,
Jaane kaisa bheega
Bheega bheega hai
Sama naya naya,
Priye bata zara, lage kyun
Sab naya naya
O priya.

Purab ki pehli tu mehki hawa hai,
Sawan ki pehli tu chanchal ghata hai.
Meri kalpana ki tu pehli hai kavita,
Hai sabse nirali, tu hi prem sarita.
Jharna bhi jhar jhar jhar
Beh raha naya naya,
Priye bata zara lage kyun
Sab naya naya o priya.

bharatlyrics.com

Thandi hawaen, sama hai suhana,
Gazab hai ye tera nigahen milana.
Behki fizaen, hua dil deewana,
Mera khud ba khud ho tere paas aana.
Jaadu kaisa dheere dheere
Dheere chha raha naya naya,
Priye bata zara, lage kyun
Sab naya naya o priya.

O Priya Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download