Ram Krishan Ki Dharti Par Lyrics - Mohammed Rafi

Ram Krishan Ki Dharti Par lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Amar Shaheed (1959). Ram Krishan Ki Dharti Par Playful soundtrack was composed by Jamal Sen with lyrics written by .

Ram krishan ki dharti par
Papi ne pav pasara hai,
Papi ne pav pasara hai
Tut pado jawano aaj videshi ne
Humko lalkara hai
Humko lalkara hai

Is dharti ko hathiyane ka
Usne aaj vicahr kiya
Is bharat ko dhamkane ka
Usne bada parchar kiya
Hai usne bada parchar kiya
Uttar me wo khada himayal
Takkar lene wala hai
Yaha hajaro vir ladenge
Usne hume na jana hai
Usne hume na jana hai
Ram krishan ki dharti par
Papi ne pav pasara hai,
Papi ne pav pasara hai
Tut pado jawano aaj videshi ne
Humko lalkara hai
Humko lalkara hai

bharatlyrics.com

Vir shivaji ke pauvade
Humne ghar ghar gaye hai
Maharana partap ke maru
Baze khub bazaye hai
Baze khub bazaye hai
Ranbairi baz uthi
Kat baman ne hume pukara hai
Humlavar gaddaro ka
Ab kam na banne wala hai
Kam na banne wala hai
Tut pado jawano aaj videshi ne
Humko lalkara hai
Humko lalkara hai

Hume na kisi ka mulak chahte
Hume kisi se bair nahi
Hum par jo chadkar aayega
Us dushman ki khair nahi
Us dushman ki khair nahi
Kashmir se antrib tak yahi
Hamara nara hai
Hind maha sagar ki lehre ne
Sun lo yahi pukara hai
Sun lo yahi pukara hai
Ram krishan ki dharti par
Papi ne pav pasara hai,
Papi ne pav pasara hai
Tut pado jawano aaj videshi ne
Humko lalkara hai
Humko lalkara hai
Humko lalkara hai.

Ram Krishan Ki Dharti Par Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download