Saagar Jaisi Aankhonwali Lyrics - Kishore Kumar

Saagar Jaisi Aankhonwali lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Saagar (1985). Saagar Jaisi Aankhonwali Love soundtrack was composed by Rahul Dev Burman with lyrics written by Javed Akhtar.

Ho chehara hai ya chaand khila
Hai zulf ghaneri shaam hai kya
Saagar jaisi aankho waali
Yeh toh bata tera naam hai kya
Chehara hai ya chaand khila
Hai zulf ghaneri shaam hai kya
Saagar jaisi aankho waali
Yeh toh bata tera naam hai kya

Tu kya jaane teri khaatir
Kitna hai betaab yeh dil
Tu kya jaane dekh raha hai
Kaise kaise khwaab yeh dil
Dil kehta hai tu hai yaha toh
Jaata lamha tham jaaye
Wakt kaa dariya behte behte
Iss manzar mein jam jaaye
Tune deevaana dil ko banaaya
Iss dil par iljaam hai kya
Saagar jaisi aankho waali
Yeh toh bata tera naam hai kya

bharatlyrics.com

Ho aaj main tujhase door
Sahi aur tu mujhse anjaan sahi
Tera saath nahi paau toh
Khair tera armaan sahi
Yeh armaan hain shor nahi
Ho khamoshi ke mele ho
Iss duniya mein koyi nahi ho
Ham dono hi akele ho
Tere sapane dekh raha hoon
Aur mera abb kaam hai kya
Saagar jaisi aankho waali
Yeh toh bata tera naam hai kya
Chehara hai ya chaand khila hai
Zulf ghaneri shaam hai kya
Saagar jaisi aankho waali
Yeh toh bata tera naam hai kya.

Saagar Jaisi Aankhonwali Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *