Saiya Se Nazare Mila Le Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Saiya Se Nazare Mila Le lyrics, the song is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Badal (1966). Saiya Se Nazare Mila Le Romantic soundtrack was composed by Usha Khanna with lyrics written by Asad Bhopali.

Mit jogi banke o gori aaya hai tere dware
Do bol apne saiya ke sun le
Khul jayenge bhed sare
Saiya se nazre mila le gori
Saiya se nazre mila le
Manwa ki batiya kahe tu chhupaye ri
Manwa ki batiya kahe tu chhupaye ri
Saiya se nazre mila le gori
Saiya se nazre mila le

Palko tale hai chamkile sapne
Sapno me ratiya suhani
Aanchal ka palu chutki me dabe
Kahe ko dole diwani
Mukhde se ghungat hata le hata le
Saiya se nazre mila le gori
Saiya se nazre mila le

Ye prit kya hai ye jit kya hai
Tune abhi tak na jana
Ek man ki duje man ko khabar hai
Tohe na aaya nibhana
Bujhte diye ko jala le jala le gori
Saiya se nazre mila le gori
Saiya se nazre mila le

bharatlyrics.com

Harday ki dhadkan chahat ki uljhan
Chhupti nahi hai chhupaye
Darpan ke aage kya soche pagli
Kahe ko ankhiya churaye
Ruthe jiy ako mana le mana le gori
Saiya se nazre mila le gori
Saiya se nazre mila le
Manwa ki batiya kahe tu chhupaye ri
Manwa ki batiya kahe tu chhupaye ri
Saiya se nazre mila le gori
Saiya se nazre mila le.

Saiya Se Nazare Mila Le Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download