Shaam Se Aankh Mein Lyrics - Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Shaam Se Aankh Mein lyrics, the song is sung by Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Mitti Ke Dev (1968). The music of Shaam Se Aankh Mein Playful track is composed by Salil Chowdhury while the lyrics are penned by Gulzar (Sampooran Singh Kalra).

Shaam se aankh mein
Nami nami si hai
Shaam se aankh mein
Nami nami si hai
Aaj phir aap ki
Kami kami si hai
Shaam se aankh mein
Nami nami si hai

bharatlyrics.com

Ajnabi si hone lagi hain
Aati jaati saanse
Aansuon mein khadi huyi hain
Roothi huyi si yaadein
Ajnabi si hone lagi hain
Aati jaati saanse
Aansuon mein khadi huyi hain
Roothi huyi si yaadein
Aaj kyun raat yun
Thami thami si hai
Shaam se aankh mein
Nami nami si hai

Patharon ke hothon pe
Hamne naam taraasha apna
Jaagi jaagi aankhon mein
Bhar ke soya hua sa sapna
Patharon ke hothon pe
Hamne naam taraasha apna
Jaagi jaagi aankhon mein
Bhar ke soya hua sa sapna
Aankh mein neend bhi
Thami thami si hai
Shaam se aankh mein
Nami nami si hai.

Shaam Se Aankh Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download