Sochta Hoon Main Lyrics - Sonu Nigam

Sochta Hoon Main lyrics, the song is sung by Sonu Nigam from Classically Mild (2008). Sochta Hoon Main Sad soundtrack was composed by Deepak Pandit with lyrics written by Ajay Jhingran.

Sochta hoon main khel ye kya hai
Anjaana sa khel ye kya hai
Khel ye kya hai
Khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Insaan jee ke
Insaan jee ke paata kya hai
Sadiyon se ye raaz chhupa hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai

Hansna rona gaana kya hai
Uthna girna paana kya hai
Hansna rona gaana kya hai
Uthna girna paana kya hai
Bandon ko manwaana kya hai
Bandon ko manwaana kya hai
Jeena sach hai
Jeena sach hai, ya ek sapna
Sadiyon se ye raaz chhupa hai

Sochta hoon main khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai

Ye din raat ka phera kyun hai
Dharti rain basera kyun hai
Ho.. Ye din raat ka phera kyun hai
Dharti rain basera kyun hai
Tan pe umr ka ghera kyu hai
Tan pe umr ka ghera kyu hai
Pal pal badhti
Pal pal badhti umr ghate kyun
Sadiyon se ye raaz chhupa hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai

Preet ka tana bana kya hai
Rishton mein uljhaana kya hai
Ho.. Preet ka tana bana kya hai
Rishton mein uljhaana kya hai
Khud ko hi tadpana kya hai
Khud ko hi tadpana kya hai
Aankh mein aansoo
Aankh mein aansoo kyu aate hain
Sadiyon se ye raaz chhupa hai

bharatlyrics.com

Sochta hoon main khel kya hai
Anjaana sa ye khel ye kya hai
Khel ye kya hai
Khel ye kya hai, ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Insaan jee ke
Insaan jee ke paata kya hai
Sadiyon se ye raaz chhupa hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Sochta hoon main khel ye kya hai
Khel ye kya hai.

Sochta Hoon Main Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download