Sunne Waalo Ek Maze Ki Baat Lyrics - Kishore Kumar

Sunne Waalo Ek Maze Ki Baat lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Naya Nasha (1973). The music of Sunne Waalo Ek Maze Ki Baat Playful track is composed by Sapan Chakraborty while the lyrics are penned by Anand Bakshi.

Sunne waalo ek maze ki baat suniye
Ek romantic picture dekhkar
Main ghar aa raha thha
Raaste mein r d burman ka
Ek gaana gaa raha thha
Ke achaanak wo mil gayi

bharatlyrics.com

Ek ladki le gayi dil
De gayi wo dhokha
Wo deewaani ek na maani
Laakh maine roka
Ek ladki le gayi dil
De gayi wo dhokha
Wo deewaani ek na maani
Laakh maine roka

Is shahar ki har ek sadak par
Maine usko dhoondha
Us haseen ka jaldi mein maine
Naam bhi na poochhaa
Is shahar ki har ek sadak par
Maine usko dhoondha
Us haseen ka jaldi mein maine
Naam bhi na poochhaa
Aise aayi aise gayi
Jaise hawa ka jhonka
Wo deewaani ek na maani
Laakh maine roka ek ladki le gayi dil
De gayi wo dhokha wo deewaani
Ek na maani haa laakh maine roka

Kar saka na main apne
Dil ki baat usse koi
Isse pehle ki main sambhalta
Bheed mein wo khoyi
Kar saka na main apne
Dil ki baat usse koi
Isse pehle ki main sambhalta
Bheed mein wo khoyi
Ab na jaane phir kab milega
Ye sunehri mauqa haa
Wo deewaani ek na maani
Laakh maine roka
Ek ladki le gayi dil
De gayi wo dhokha
Wo deewaani ek na maani
Laakh maine roka

Apne dil ke khoney ka
Mujhko gham na itna hota
Ghar pahunchke main raat
Saari baith ke na rota
Apne dil ke khoney ka
Mujhko gham na itna hota
Ghar pahunchke main raat
Saari baith ke na rota
Saath dil ke haay le gayi wo
Note bhi ek sau ka haa
Wo deewaani ek na maani
Laakh maine roka
Ek ladki le gayi dil
De gayi wo dhokha
Wo deewaani ek na maani
Laakh maine roka.

Sunne Waalo Ek Maze Ki Baat Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download