Suno Jaana Suno Jaana Lyrics - Kishore Kumar

Suno Jaana Suno Jaana lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Hum Sab Ustad Hain (1965). The music of Suno Jaana Suno Jaana Happy track is composed by Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal) while the lyrics are penned by Asad Bhopali.

Suno jaana suno jaana
Mere pehloo se mat jaana
Suno jaana suno jaana
Mere pehloo se mat jaana
Agar jaana to yoon jaana
Judaa gardan se kar jaana
Suno jaana suno jaana
Mere pehloo se mat jaana
Suno jaana suno jaana
Mere pehloo se mat jaana
Agar jaana to yoon jaana
Judaa gardan se kar jaana
Suno jaana suno jaana

Ye chehra kyun chhipaaye ho
Ye daaman kyun bachaaye ho
Zaraa baithho chale jaana
Kai din mein to aaye ho
Tum ik rangeen dhokha ho
Nahin maloom kya kya ho
Tumhein taqleef to hogi
Ghadi bhar ko theher jaana
Suno jaana suno jaana
Mere pehloo se mat jaana
Agar jaana to yoon jaana
Judaa gardan se kar jaana
Suno jaana suno jaana

Nigaahe naaz ki baaten
Jawaan andaaz ki baaten
Abhi to tum se karni hain
Bahut si raaz ki baaten
Abhi se bewafaayi hai
Duhaai hai duhaai hai
Mere paas aao pehle phir
Jidhar chaaho udhar jaana
Suno jaana suno jaana
Mere pehloo se mat jaana
Agar jaana to yoon jaana
Judaa gardan se kar jaana
Suno jaana suno jaana

bharatlyrics.com

Ye aakhir kaisa waada hai
Kaho ab kya iraada hai
Mujhe dil de ke dil le lo
Ke sauda seedha saadha hai
Tumhen pehchaan’ne waale
Nahin yoon maan’ne waale
Kahin tum baaton baaton mein
Na apna kaam kar jaana
Suno jaana suno jaana
Mere pehloo se mat jaana
Agar jaana to yoon jaana
Judaa gardan se kar jaana
Suno jaana suno jaana
Mere pehloo se mat jaana
Agar jaana to yoon jaana
Judaa gardan se kar jaana
Suno jaana suno jaana.

Suno Jaana Suno Jaana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download