Teri Aankh Ka Jo Ishara Na Hota Lyrics - Mohammed Rafi

Teri Aankh Ka Jo Ishara Na Hota lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Nai Roshni (1967). The music of Teri Aankh Ka Jo Ishara Na Hota Love track is composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi) while the lyrics are penned by Rajendra Krishan.

Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka

bharatlyrics.com

Agar phul teri hasi na churate
To bechare bago ke dil tut jate
Agar phul teri hasi na churate
To bechare baago ke dil tut jate
Chaman ki ye mehfil na aabad hoti
Baharo ka aisa nazara na hota
Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka

Na hote agar gesuo ke ye saye
Kaha jate ham chot dil ki dabaye
Na hotey agar gesuo ke yeh saye
Kaha jate ham chot dil ki dabaye
Mohabbat ka rahi bhatakta hi rehta
Teri zulf ka jo sahara na hota
Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka

Tera sath hai to safar hai suhana
Teri hi badaulat haseen hai zamana
Tera saath hai to safar hai suhana
Teri hi badaulat hasin hai zamana
Agar hath mei tera daman na aata
Kahi bhi hamara guzara na hota
Teri aankh ka jo ishara na hota
To bismil kabhi dil hamara na hota
Teri aankh ka.

Teri Aankh Ka Jo Ishara Na Hota Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download