Teri Pyari Pyari Surat Lyrics - Mohammed Rafi

Teri Pyari Pyari Surat lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Sasural (1961). Teri Pyari Pyari Surat Romantic soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Hasrat Jaipuri.

Teri pyaari pyaari surat
Ko kisiki nazar na lage
Chashme baddoor
Teri pyaari pyaari surat
Ko kisiki nazar na lage
Chashme baddoor
Mukhde ko chhupa lo
Aanchal mein kahin
Meri nazar na lage
Chashme baddoor

Yoon na akele phira karo
Sabki nazar se dara karo
Yoon na akele phira karo
Sabki nazar se dara karo
Phool se zyaada nazuk ho
Tum chaal sambhalkar chala karo
Zulfon ko gira lo gaalon par
Mausam ki nazar na lage
Chashme baddoor
Teri pyaari pyaari surat
Ko kisiki nazar na lage
Chashme baddoor

bharatlyrics.com

Ek jhalak jo paata hai raahi
Wahi ruk jaata hai
Ek jhalak jo paata hai raahi
Wahi ruk jaata hai
Dekh ke tera roop salona
Chand bhi sar ko jhukata hai
Dekha na karo tum aaina
Kahin khud ki nazar na lage
Chashme baddoor
Teri pyaari pyaari surat ko
Kisiki nazar na lage
Chashme baddoor
Mukhde ko chhupa lo
Aanchal mein kahin
Meri nazar na lage
Chashme baddoor.

Teri Pyari Pyari Surat Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download