Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din Lyrics - Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi from Atmaram (1979). Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din Romantic soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Vishweshwar Sharma.

Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge
Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge
Jo dil me aa gayi hai aaj
Hum vo kar hi gujarenge

Khabar kya thi ki
Apne bhi sitare
Aise bigadenge
Khabar kya thi ki
Apne bhi sitare
Aise bigadenge
Ki jo puja ke kabil hai
Vo yu badalenge
Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge

Tumhari ek na manenge
Karenge aaj man mani
Bahut tarsaya hai tumne
Nahi ab aur tarsenge
Sataya to nahi karte
Kabhi kismat ke maro ko
Kisi ki jaan jayegi
Kisi ke arman nikalenge

Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge
Jo dil me aa gayi hai aaj
Hum vo kar hi gujarenge
Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge

Manaya tumko kitni baar
Lekin tum nahi mane
To ab majbur hokar hum
Sararat per bhi uthrenge
Hakikat kya hai
Ye pahle bata dete to acha tha

bharatlyrics.com

Kudh apne jaal se hi hum
Na jane kaise hum nikalenge
Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge

Kayi din baad fir ye saaj
Ye singaar paya hai
Nahi malum tha ki aap yu
Inkar kar denge
Tumhe kaise bataye
Kya humare sath gujari hai
Tumhare khwab tutenge
Agar sach baat kah de

Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge
Jo dil me aa gayi hai aaj
Hum vo kar hi gujarenge

Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge
Jo dil me aa gayi hai aaj
Hum vo kar hi gujarenge

Tumhare bin gujare hai kai din
Ab na gujarenge.

Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download