Tumhi Mere Mandir Lyrics - Lata Mangeshkar

Tumhi Mere Mandir lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Khandan (1965). The music of Tumhi Mere Mandir Romantic track is composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi) while the lyrics are penned by Rajendra Krishan.

Tumhi mere mandir, tumhi meri puja
Tumhi devta ho, tumhi devta ho
Tumhi mere mandir, tumhi meri puja
Tumhi devta ho, tumhi devta ho
Koi meri aankho se dekhe to samajhe
Ke tum mere kya ho, ke tum mere kya ho
Tumhi mere mandir, tumhi meri puja
Tumhi devta ho, tumhi devta ho

bharatlyrics.com

Jidhar dekhti hu udhar tum hi tum ho
Na jane magar kin khayalo me gum ho
Jidhar dekhti hu udhar tum hi tum ho
Na jane magar kin khayalo me gum ho
Mujhe dekhkar tum zara muskura do
Nahi to mai samajhugi, mujhse kafa ho
Tumhi mere mandir, tumhi meri puja
Tumhi devta ho, tumhi devta ho

Tumhi mere mathe ki bindiya ki jhilmil
Tumhi mere hatho ke gajro ki manzil
Tumhi mere mathe ki bindiya ki jhilmil
Tumhi mere hatho ke gajro ki manzil
Mai hun ek chhoti si maati ki gudiya
Tumhi pran mere, tumhi aatma ho
Tumhi mere mandir, tumhi meri puja
Tumhi devta ho, tumhi devta ho

Bahut raat biti chalo mai sula du
Pavan chhede sargam mai lori suna du
Bahut raat biti chalo mai sula du
Pavan chhede sargam mai lori suna du
Tumhe dekhkar ye kayal aa raha hai
Ke jaise farishta koi so raha hai
Tumhi mere mandir, tumhi meri puja
Tumhi devta ho, tumhi devta ho
Tumhi mere mandir, tumhi meri puja
Tumhi devta ho, tumhi devta ho.

Tumhi Mere Mandir Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download