Tumsa Koi Nahin Zamaane Mein Lyrics - Anuradha Paudwal, Suresh Wadkar

Tumsa Koi Nahin Zamaane Mein lyrics, the song is sung by Anuradha Paudwal, Suresh Wadkar from Vapsi Saajan Ki (1995). Tumsa Koi Nahin Zamaane Mein Romantic soundtrack was composed by Anand Shrivastav, Milind Shrivastav with lyrics written by Azad Jullundhary.

Tumsa koi nahin zamaane mein
Tumsa koi nahin zamaane mein
Sari duniya ko aaj maya hai
Aisa lagta hai tujhko malik ne
Aisa lagta hai tujhko malik ne
Sirf mere liye banaya hai
Tumsa koi nahin zamaane mein

Phul jab bhi khile hai gulshan mein
Mahek tere badan ki aayi hai
Phul jab bhi khile hai gulshan mein
Mahek tere badan ki aayi hai
Hoth jab bhi khile hai tere sanam
Sari duniya hi muskurai hai
Jab bhi dekha hai chand ko meine
Jab bhi dekha hai chand ko meine
Mujhko tera khayal aaya hai
Tumsa koi nahin zamaane mein

bharatlyrics.com

Sokhiya aapne sikhayi hai
Mast sawan ki in hawao ko
Sokhiya aapne sikhayi hai
Mast sawan ki in hawao ko
Dekh kar aap ki si aar zulfein
Sharm aane lagi gatao ko
Bhiga bhiga sa ye badan tauba
Bhiga bhiga sa ye badan tauba
Mera iman dag magaya hai
Tumsa koi nahin zamaane mein

Tu farishta hai aasmano ka
Meri duniya mera naseeb hai tu
Tu farishta hai aasmano ka
Meri duniya mera naseeb hai tu
Meri nazaro mein tu samayi hai
Mere dil ke bahut karib hai tu
Ab na bichhadenge zindagi mein kabhi
Ab na bichhadenge zindagi mein kabhi
Hum ko taqdeer ne milaya hai
Tumsa koi nahin zamaane mein
Sari duniya ko aaj maya hai
Aisa lagta hai tujhko malik ne
Sirf mere liye banaya hai
Tumsa koi nahin zamaane mein.

Tumsa Koi Nahin Zamaane Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download