Unhe Apna Bana Lyrics - Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt)

Unhe Apna Bana lyrics, the song is sung by Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt) from Bedardi (1951). Unhe Apna Bana Sad soundtrack was composed by Roshanlal Nagrath (Roshan) with lyrics written by Kidar Nath Sharma (Kedar Sharma).

Unhe apna bana lena
Mujhe dil se bhula dena
Jaha apna basa lena
Meri duniya mita dena
Unhe apna bana lena

Ho nazar milna nazar ka
Ek dhokha tha samjh lena
Nazar ke jab tere aansu gire
Mujhko gira dena
Jaha apna basa lena
Meri duniya mita dena
Unhe apna bana lena

bharatlyrics.com

Main kadmo pe giru to
Mujhko raste se hata dena
Main gham ki dasta chhedu to
Sunkar muskura dena
Jaha apna basa lena
Meri duniya mita dena
Unhe apna bana lena

Ek din agar meri tarha
Tumko bhi gham bhane lage
Ek din agar meri tarha
Tumko bhi gham bhane lage
Ek din gham bhane lage
Ek din to mujhko yaad karna
Aur do aansu baha lena
Jaha apna basa lena
Meri duniya mita dena
Unhe apna bana lena.

Unhe Apna Bana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download