Waqt Ke Saath Lyrics - Asha Bhosle, Mohammed Aziz

Waqt Ke Saath lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Mohammed Aziz from Begaana (1986). Waqt Ke Saath Philosophical soundtrack was composed by Anu Malik with lyrics written by Anjaan.

Chal raha hoon mere dil mein
Sirf chalne ki khushi hain
Aane wale kal ki surat
Meri aankho mein basi hain
Mar chuke hain wo jo
Thak kar rashte mein baith jaye
Waqt se ladta raha main
Waqt ka mara nahin hoon

Waqt ke sath har zkham bharta nahin
Waqt ke sath har zkham bharta nahin
Phir bhi jite hain sab koi marta nahin
Phir bhi jite hain sab koi marta nahin

Waqt ka zkham sah jaye aise hain kam
Waqt ka zkham sah jaye aise hain kam
Waqt gaye na gujare gujarta nahin
Phir bhi jite hain sab koi marta nahin

Waqt hota hain kya ye use hain pata
Waqt ki aag mein jo jala hain
Waqt ka dusara naam takdir hain
Zor kismat pe kiska chala hain
Waqt ki thokre chur kar de jise
Wo bigad ke swarta nahin
Waqt ka zkham sah jaye aise hain kam
Waqt gaye na gujare gujarta nahin
Phir bhi jite hain sab koi marta nahin

Dhup banke kabhi chhav banke kabhi
Waqt chehare badalta rahega
Waqt ki thokre kha ke bhi aadmi
Yuhi girta sambhalta rahega
Wo hai kya aadmi apni himmat se
Jo waqt ka rukh bdalta nahin
Waqt ke sath hain zkham bharta nahin
Phir bhi jite hain sab koi marta nahin
Phir bhi jite hain sab koi marta nahin

Waqt ki dhund se hum jo gujare kabhi
Rah sujhe na koi kahi oo oo
Aati jati rahi waqt ki aandhiya
Chand sooraj bhuje to nahin
Chand sooraj bhuje to nahin

bharatlyrics.com

Waqt hain berham kar le kuch bhi sitam
Waqt hain berham kar le kuch bhi sitam
Waqt humse zuda to nahin jite ji kyun mare
Waqt se kyu dare waqt apna khuda to nahin
Waqt apna khuda to nahin
Waqt apna khuda to nahin
Waqt apna khuda to nahin.

Waqt Ke Saath Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download