Watan Pe Jo Fida Hoga Lyrics - Mohammed Rafi

Watan Pe Jo Fida Hoga lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Phool Bane Angaare (1963). Watan Pe Jo Fida Hoga Patriotic soundtrack was composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah with lyrics written by Anand Bakshi.

Himalya ki bulandi se
Suno aawaj hai aayi
Kaho maao se de bete
Kaho behano se de bhai

Watan pe jo fida hoga
Amar wo naujawan hoga
Rahegi jab talak ye duniya
Ye asfana bayaa hoga
Watan pe jo fida hoga
Amar wo naujawan hoga

Himalya kah raha hai
Is watan ke naujawano se
Khada hu mai santari ban ke
Mai sarhad pe jamano se
Bala is vaqt dekhu kon
Mera pasbaan hoga
Watan pe jo fida hoga
Amar wo naujawan hoga

bharatlyrics.com

Chaman walo ki gairat ko hai
Saiyado ne lalkara
Utho har phul se kah do ke
Ban jaye wo angara
Nahi to dosto ruswa
Humara gulistan hoga
Watan pe jo fida hoga
Amar wo naujawan hoga

Humare ek padoshi ne
Humare ghar ko luta hai
Humare ek padoshi ne
Humare ghar ko luta hai
Baram ek dost ki
Dosti ka aise tuta hai
Ke ab har dost pe duniya ko
Dusman ka guman hoga
Watan pe jo fida hoga
Amar wo naujawan hoga

Sipahi dete hai aawaj
Matao ko behano ko
Hame hathiyar la do
Bech do apne gehno ko
Ke is kurab bekuraban
Watan ka har naujawan hoga
Watan pe jo fida hoga
Amar wo naujawan hoga
Rahegi jab talak ye duniya
Ye asfana bayan hoga
Watan pe jo fida hoga
Amar wo naujawan hoga.

Watan Pe Jo Fida Hoga Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download