Ye Duniya Haay Hamaari Lyrics - Mohammed Rafi

Ye Duniya Haay Hamaari lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Yahudi (1958). The music of Ye Duniya Haay Hamaari Sad track is composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi while the lyrics are penned by Hasrat Jaipuri.

Ye duniya ye duniya
Haay hamaari ye duniya
Shaitaanon ki basti hai
Yahaan zindagi sasti hai
Ye duniya ye duniya
Haay hamaari ye duniya
Shaitaanon ki basti hai
Yahaan zindagi sasti hai
Ye duniya ye duniya

Dam lene ko saayaa
Hai talwaaron ka
So jaane ko bistar
Hai angaaron ka
Qadam chhoom tu sar
Ke andhe peeron peeron ke
Karna hoto sijda
kar deewaaron ka
Arre karna ho to sijda
Kar deewaaron ka
Ye duniya ye duniya
Haay hamaari ye duniya
Har zaalim ek hasti hai
Majhab zulm parasti hai
Ye duniya ye duniya

bharatlyrics.com

Raaz ye dar ka maut
Hai yahaan ki raani
Qadam qadam pe
Zor zulm ki manmaani
Bhhookh yahaan ki fasal
Saal bhar phhalti hai
Log yahaan peete
Hain aankhon ka paani
Arre log yahaan peete
Hain aankhon ka paani
Ye duniya ye duniya
Haay hamaari ye duniya
Har su aag parasti hai
Pyaasi rooh tarasti hai
Ye duniya ye duniya

Badal rahi hai
Roz badalti jaayegi
Badal rahi hai
Roz badalti jaayegi
Duniya karwat legi
Chakkar khaayegi
Lekin ham mazloon
Ghareebon ki qismat
Kabhi na hansne degi
Sadaa rulaayegi
Arre kabhi na hansne degi
Sadaa rulaayegi
Ye duniya ye duniya
Haay hamaari ye duniya
Badhaalon pe hansti hai
Laachaaron ko dansti hai
Ye duniya ye duniya.

Ye Duniya Haay Hamaari Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download