Yeh Bahar Keh Rahi Hai Lyrics - Penaz Masani, Talat Aziz

Yeh Bahar Keh Rahi Hai lyrics, the song is sung by Penaz Masani, Talat Aziz from A Team Come True (1982). The music of Yeh Bahar Keh Rahi Hai Ghazal track is composed by Pandit Raghunath Seth while the lyrics are penned by Pandit Raghunath Seth.

Yeh bahar keh rahi hai yahin pyaar ka sama
Meri aarzoo pukaare o mere dilruba kahan
Yahin chumta pawan yahin pyar ka sama
Ye umang puchhati hain tu chale chala kahan
Yeh bahar keh rahi hai

Raat gaane lagi dil machalne laga
Pyaar ki raah mein mann behek ne laga
Raat gaane lagi dil machalne laga
Pyaar ki raah mein mann behek ne laga
Saanso mein tu hain khwabo mein tu hain
Saanso mein tu hain khwabo mein tu hain
Hain armaan jawaan
Yeh bahar keh rahi hai yahin pyaar ka sama
Meri aarzoo pukaare o mere dilruba kahan
Yeh bahar keh rahi hai

bharatlyrics.com

Chandani bhigi bhigi chand soya hua
Pyaar ke swapn mein main bhi khoya hua
Chandani bhigi bhigi chand soya hua
Pyaar ke swapn mein main bhi khoya hua
Jaane bahaar tu hai dil ka qaraar tu hai
Jaane bahaar tu hai dil ka qaraar tu hai
Meri umeed jawaan
Yahin chumta pawan yahin pyar ka sama
Ye umang puchhati hain tu chale chala kahan
Yeh bahar keh rahi hai

Hain tamanna yahi saath hum tum rahe
Baago mein pyaar ke phool khilate rahe
Has bahaar ho pyar hi pyaar ho
Has bahaar ho pyar hi pyaar ho
Aisa banaye jahaan
Yahin chumta pawan yahin pyar ka sama
Ye umang puchhati hain tu chale chala kahan
Yeh bahar keh rahi hai yahin pyaar ka sama
Meri aarzoo pukaare o mere dilruba kahan
Yeh bahar keh rahi hai.

Yeh Bahar Keh Rahi Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download