Yeh Kaisa Anyay Lyrics - Kundan Lal Saigal

Yeh Kaisa Anyay lyrics, the song is sung by Kundan Lal Saigal from Lagan (1941). Yeh Kaisa Anyay Sad soundtrack was composed by Rai Chand Boral with lyrics written by Arzoo Lakhnavi.

Yeh kaisa anyay data
Yeh kaisa anyay
Mere banta kam bigad kar
Bigde kam banaye
Mere banta kam bigad kar
Bigde kam banaye
Beda par lagaye data
Beda par lagaye data
Yeh kaisa anyay data
Yeh kaisa anyay

Dukh jhele jis sukh ke karan
Wo sukh bhi chhin jaaye
Dukh jhele jis sukh ke karan
Wo sukh bhi chhin jaaye
Jaise apne diye ki jyoti
Dujhe ke ghar jaaye data
Jaise apne diye ki jyoti
Dujhe ke ghar jaaye data
Yeh kaisa anyay data
Yeh kaisa anyay

bharatlyrics.com

Main bhi yunhi zama rahunga
Kaisa toofan aaye
Ghat ka patthar hil nahi sakta
Laakh thapede khaye
Main bhi yunhi jama rahunga
Kaisa toofan aaye
Ghat ka patthar hil nahi sakta
Laakh thapede khaye
Kabhi to dukh ko
Sukh kar dega
Anyayi ka nyay
Kabhi to dukh ko
Sukh kar dega
Anyayi ka nyay
Andha to tabhi patiya yeh
Jab do aankhe paye
Andha to tabhi patiya yeh
Jab do aankhe paye data.

Yeh Kaisa Anyay Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download