Yeh Shor Hai Gali Gali Ke Lyrics - Mohammed Rafi

Yeh Shor Hai Gali Gali Ke lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Ek Thi Reeta (1971). Yeh Shor Hai Gali Gali Ke Masti soundtrack was composed by Jaidev Kumar with lyrics written by Sarshar Sailani.

Hazaro aafte lekar kisi buth par sabab aaya
Jo aaya bhi to yu aaya ke jalim behisab aaya
Ye shor hai gali gali
Ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali
ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali

Nazar mein ek saurur hai ada nashe me chur hai
Ye kah rahi hai sokhiya ke bat kuch jarur hai
Yuhi nahi idhar udhar machi hui ye khalbali
Ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali

bharatlyrics.com

Wo mastiya bikherti nazar nazar ko gherti
Yaha waha kaha kaha nigahe naaz ferti
Dilo ko lutti hui chali wo manchali manchali
Ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali

Hasin hai jawan hai kisi ke dil ki jaan hai
Wo kon khusnasib hai ye jispe meharban hai
Jidhar se wo gujar gayi mahak uthi kali kali
Ye shor hai gali gali ke wo jawan ho chali.

Yeh Shor Hai Gali Gali Ke Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download