LYRICS OF ZAKHAM-E-SANGEET: The song is sung by Bella from BellaOfficials. ZAKHAM-E-SANGEET is a Playful song, composed by Abhi Kesla, with lyrics written by Bella.
Zakham-e-Sangeet Lyrics
Khoke baitha main hosh-o-hawaas
Ke ab mujhe zakhm na lage
Jo lage na dikhe
Rakhee thi umeedein kayi
Par dekho na akela reh gaya
Ab bhi akele jee rahe
Mushkil se aayi hai subah
Hawaon ko tu chheen le gayi
Isse chheen na lena
Maana ke galtiyan hui
Par kya woh thi bas jaana meri galtiyan?
Tumne kuch bhi nai kiya
Main toh pehle se hi toota hoon
Jaan jaa le le meri saansein bhi
Jaa tu le le jo bhi baaki hai
Baaki tera mera
Maine chheena teri khwahishon ko
Aur gham tujhe itna diya hai
Ki tu toh badal gayi thi haq se
Mujhpe se tera rang nahi uda hai
Tu chaahe toh rok de yahin pe
Hum aise toh kabhi bhi nahi the
Tu kehti thi tu hai toh safe mein
Ab dikhti nahi guzar gaye mahine
Tab mere nashe se tang tu
Roz leti mujhse waade hazaar thi
Aaj chhodoge toh agle din milungi
Chaahe woh busy ya bahut beemaar thi
Woh mere gaane bhi gaati
Bhari dopahar mein khaana khilaati
Paas bithaake woh nazrein utaarti
Jo ab nahi aankhon se aankhein milaati
Woh kehti hai sudhar jaa aaj bhi
Lekin ye baatein auron se bulwaati
Kadar nahi kar paaya main tere pyaar ki
Hua main neecha dikhaane ka aadi
Hum dono ka khot
Do paise ka moh kya dega sukoon
Jaana hai chali jaa kal
Aa jaayegi aur phir uske baad aur
Maaloom tha tareeka
Tujhe manaane ka peechhe ghumaane ka
Waqt hi nahi diya koi nakhre dikhaane ka
Pad gayi akeli thi bol hi nahi paayi
Ab mauka nahi de raha khuda tujhe mujhse milaane ka
bharatlyrics.com
Ab na jaane ye gham kitna tadpaayega
Tu aayega ya phir aayega nahi
Mujhse raha jaaye nahi
Tu kitni zaroori hai
Saansein tere bin chal paaye nahi
Main toh pehle se hi toota hoon
Jaan jaa le le meri saansein
Jaa tu le le jo bhi baaki hai
Baaki tera mera
Maine cheena teri khwahishon ko
Aur gham tujhe itna diya hai
Ki tu toh badal gayi thi haq se
Mujhpe se tera rang nahi uda hai
