Zameen Se Hame Aasman Par Lyrics - Asha Bhosle, Mohammed Rafi

Zameen Se Hame Aasman Par lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi from Adalat (1958). The music of Zameen Se Hame Aasman Par Romantic track is composed by Madan Mohan Kohli while the lyrics are penned by Rajendra Krishan.

Zameen se hame aasman par
Bitha ke gira to na doge
Agar ham ye puchhe ke dil me
Basa ke bhula to na doge
Zameen se hame aasman par
Bitha ke gira to na doge
Agar ham ye puchhe ke dil me
Basa ke bhula to na doge

bharatlyrics.com

Ai raat is waqt aanchal me tere
Jitane bhi hai ye sitaare
Ai raat is waqt aanchal me tere
Jitane bhi hai ye sitaare
Jo de de tu mujhako
To phir mai luta dun
Kisi ki nazar pe ye saare
Aa kaho ke ye ragin sapane
Sajaa ke mitaa to na doge
Agar ham ye puchhe ke dil me
Basa ke bhula to na doge

Tumhaare sahaare nikal to pade hai
Hai manzil kaha dil na jaane
Tumhaare sahaare nikal to pade hai
Hai manzil kaha dil na jaane
Jo tum saath doge to aaegi ek din
Manzil gale se lagaane
Aa itna to il ko yaqi hai
Hame tum daga to na doge
Agar ham ye puchhe ke dil me
Basa ke bhula to na doge
Zameen se hame aasman par
Bitha ke gira to na doge
Agar ham ye puchhe ke dil me
Basa ke bhula to na doge.

Zameen Se Hame Aasman Par Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download