Zindagi Dhoop Tum Ghana Saya (Title) Lyrics - Rahat Nusrat Fateh Ali Khan

Zindagi Dhoop Tum Ghana Saya (Title) lyrics, the song is sung by Rahat Nusrat Fateh Ali Khan from Zindagi Dhoop Tum Ghana Saya (2011). Zindagi Dhoop Tum Ghana Saya (Title) Sad soundtrack was composed by Farrukh Abid, Shoaib Farrukh with lyrics written by Sabir Zafar.

Rang hi rang they nigaahon mein
Nigaahon mein..
Jaise satrangeeiyan ho raahon mein
Husn thaa noor ki panaahon mein
Ishq tha bekhudi ki baahon mein
Baahon mein..
Tum ho har aan meherbaan paaya
Zindagi dhoop tum ghana saya
Zindagi dhoop tum ghana saya

bharatlyrics.com

Kya khabar thi ke saath toda hai
Meri taqdeer mein ab chhoda hai
Jis doraahe pe tumne chhoda hai
Usne bandhan lagan ka toda hai
Chal diye tum ke jab yakeen aaya
Zindagi dhoop tum ghana saya
Zindagi dhoop tum ghana saya

Yeh lagan toh nahin agan hai ye
Kaise keh doon ke apnapan hai ye
Dekhne ko dhadkta mann hai ye
Ab milan ki taraah milan hai ye
Dil na maana hazaar samjhaya
Zindagi dhoop tum ghana saya
Zindagi dhoop tum ghana saya
Ghana saya..ghana saya..ghana saya..

Zindagi Dhoop Tum Ghana Saya (Title) Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download