Aa Zara Mere Hum Nasheen Lyrics - Mohammed Rafi

Aa Zara Mere Hum Nasheen lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Poonam (1981). The music of Aa Zara Mere Hum Nasheen Sad track is composed by Anu Malik while the lyrics are penned by Hasrat Jaipuri.

Aa zara mere hum nasheen
Tham le mujhe tham le
Aa zara mere hum nasheen
Tham le mujhe tham le
Zindagi se bhag kar aaya hu mai
Mujhe tham le
Aa zara mere hum nasheen
Tham le mujhe tham le aa zara

bharatlyrics.com

Apni hasti se khud mai paresan hu
Jiski manjil nahi aisa insan hu
Apni hasti se khud mai paresan hu
Jiski manjil nahi aisa insan hu
Mai kaha tha kaha se kaha aa gaya
Kya se kya ho gaya mai bhi hairan hu
Aa zara mere hum nasheen
Tham le mujhe tham le aa zara

Bujh gaya bhi to kya apne dil ka diya
Ab na royenge hum roshni ke liye
Bujh gaya bhi to kya apne dil ka diya
Ab na royenge hum roshni ke liye
Dil ka shisha jo tuta to gham kyu kare
Dard kafi hai bas zindagi ke liye
Aa zara mere hum nasheen
Tham le mujhe tham le aa zara

Rat aati rahi rat jati rahi
Mere gham ka na lekin sawera hua
Rat aati rahi rat jati rahi
Mere gham ka na lekin sawera hua
Apne apne nasibo ki bate hai ye
Jo mila uska hamko bahut sukriya
Aa zara mere hum nasheen
Tham le mujhe tham le
Zindagi se bhag kar aaya hu mai
Mujhe tham le aa zara.

Aa Zara Mere Hum Nasheen Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download