Aaj Yeh Aanchal Munh Kyun Chhupaye Lyrics - Mahendra Kapoor, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Aaj Yeh Aanchal Munh Kyun Chhupaye lyrics, the song is sung by Mahendra Kapoor, Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Holiday In Bombay (1963). The music of Aaj Yeh Aanchal Munh Kyun Chhupaye Romantic track is composed by Datta Naik while the lyrics are penned by Anjaan.

Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye
Aankh ka kajal kyun sharmaye
Aakhir kya hai baat hasi kyun
Hotho tak aa kar ruk jaye
Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye
Aankh ka kajal kyun sharmaye
Aakhir kya hai baat hasi kyun
Hotho tak aa kar ruk jaye
Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye

Badli ada aaj hai har andaz naya
Dil ki lagi chhup na saki
Raz ye aakhir khul hi gaya
Rang badal kar kidhar chali ho
Badan samete se najar churaye
Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye
Aankh ka kajal kyun sharmaye
Aakhir kya hai baat hasi kyun
Hotho tak aa kar ruk jaye
Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye

bharatlyrics.com

Maheki hawa bahki ghata
Ye aalam ye madhoshi
Chup na raho kuchh to kaho
Tod bhi do ye khamoshi
Ye mausam ye ghadi milan ki
Roz kaha jivan mein aaye
Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye
Aankh ka kajal kyu sharmaye
Aakhir kya hai baat hasi kyun
Hotho tak aa kar ruk jaye
Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye

Dil ko mere mil hi gaya
Sathi pyar ki raho ka
Sath kabhi chute na in lahrati baho ka
Ab na juda ho dil se teri
Bal khati julfo ke saye
Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye
Aankh ka kajal kyu sharmaye
Aakhir kya hai baat hasi kyun
Hotho tak aa kar ruk jaye
Aaj yeh aanchal munh kyun chhupaye.

Aaj Yeh Aanchal Munh Kyun Chhupaye Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download