Aayi Ajal Ai Zindagi Lyrics - Amirbai Karnataki

Aayi Ajal Ai Zindagi lyrics, the song is sung by Amirbai Karnataki from Elaan (1947). Aayi Ajal Ai Zindagi Sad soundtrack was composed by Naushad Ali with lyrics written by Zia Sarhadi.

Ha aayi ajal ai zindagi
Gham ka zamana tal gaya
Abb kya girengi bijaliya
Jab aashiya hi jal gaya

bharatlyrics.com

Aa o shabe gham aaye ja
Sare jahan par chhaye ja
Abb tu hi tu rah jayegi
Abb kal na haragij aayegi
Woh din jo dushman tha teraa
Woh zindagi ka din meraa
Woh din hamesha ke liye
Han din wahi din bhar gaya
Gham ka zamana tal gaya

Iss umra ka awwalapana
Iss umra ka aakirapana
Ek jhooth ka darbar hai
Batilapana jahilapana
Yeh zindagi kuchh bhi nahin
Yeh zindagi kuchh bhi nahin
Natak ka jhutha khel hai
Jab tak chala so chal gaya
Gham ka zamana tal gaya

Ha aayi ajal aayi zindagi
Gham ka zamana tal gaya
Abb kya girengi bijaliya
Jab aashiya hi jal gaya.

Aayi Ajal Ai Zindagi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download