Ab Kya Sochain Lyrics - Nusrat Fateh Ali Khan

Ab Kya Sochain lyrics, the song is sung by Nusrat Fateh Ali Khan from Sangam (1996). The music of Ab Kya Sochain Happy track is composed by Nusrat Fateh Ali Khan while the lyrics are penned by Javed Akhtar.

Ab kya sochein kya hona hai
Jo hoga achha hoga
Ab kya sochein kya hona hai
Jo hoga achha hoga
Pehle socha hota pagal
Ab rone se kya hoga
Ab kya sochein kya hona hai
Jo hoga achha hoga

Yaar se gham keh kar to khush ho
Lekin tum yeh kya jaano
Yaar se gham keh kar to khush ho
Lekin tum yeh kya jaano
Tum dil ka rona rote the
Woh dil mein hasta hoga
Ab kya sochein kya hona hai
Jo hoga achha hoga

bharatlyrics.com

Aaj kisi na dil toda to
Hum ko jaise dhyan aaya
Aaj kisi na dil toda to
Hum ko jaise dhyan aaya
Jiska dil hum nai toda tha
Woh jaane kaisa hoga

Mere kuchh pal mujh ko de do
Baaqi saare gin logo
Mere kuchh pal mujh ko de do
Baaqi saare gin logo
Tum jaisa jaisa kehte ho
Sub waisa waisa hoga
Ab kya soche kya hona hai
Jo hoga achha hoga.

Ab Kya Sochain Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download