Ajeeb Saaneha Lyrics - Hariharan

Ajeeb Saaneha lyrics, the song is sung by Hariharan from Gaman (1978). Ajeeb Saaneha Sad soundtrack was composed by Jaidev Verma with lyrics written by Shahryar (Akhlaq Mohammed Khan).

Ajib saaneha mujh par guzar gaya yaaro
Ajib saaneha mujh par guzar gaya yaaro
Main apane saaye se
Main apane saaye se kal raat dar gaya yaaro
Ajib saaneha

Har ek naqsh tamanna ka ho gaya dhundhala
Har ek naqsh tamanna ka ho gaya dhundhala
Har ek zakm mere dil ka bhar gaya yaaro
Har ek zakm mere dil ka bhar gaya yaaro
Ajib saaneha

Bhatak rahi thi
Bhatak rahi thi jo kashti wo gaqr-e-aab hui
Chadha hua tha jo dariya utar gaya yaaro
Chadha hua tha jo dariya utar gaya yaaro
Ajib saaneha

Wo kaun tha wo kaun tha
Wo kahan ka tha kya hua tha use
Suna hai aaj koi shaks mar gaya yaaro
Suna hai aaj koi shaks mar gaya yaaro

bharatlyrics.com

Ajib saaneha mujh par guzar gaya yaaro
Main apane saaye se kal raat dar gaya yaaro
Ajib saaneha.

Ajeeb Saaneha Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download