Baabul Ka Yeh Ghar Lyrics - Alka Yagnik, Kishore Kumar

Baabul Ka Yeh Ghar lyrics, the song is sung by Alka Yagnik, Kishore Kumar from Daata (1989). Baabul Ka Yeh Ghar Marriage soundtrack was composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah with lyrics written by Anjaan.

Babul ka yeh ghar behna
Kuch din ka thikana hain
Banake dulhan ek din
Tujhe piya ghar jaana hain

Baapu tere bagiya ki
Main tho ek kali hoon re
Ho baapu tere bagiya ki
Main tho ek kali hoon re
Chod teri bagiya muje
Ghar piya ka sajana hain
Kyun chod teri bagiya muje
Ghar piya ka sajana hain

Beti ghar babul ke
Kissi aur ki amanat hain
Beti ghar babul ke
Kissi aur ki amanat hain
Dastoor duniya ka
Hum sab ko nibhana hain

bharatlyrics.com

Maiya tere anchal ki
Main to ek gudiya re
Maiya tere anchal ki
Main to ek gudiya re
Tune mujhe janam diya
Tera ghar kyun begana hain
Maiya tune mujhe janam diya
Tera ghar kyun begana hain

Maiya pe kya beet rahi
Behna tu ye kya jaane
Maiya pe kya beet rahi
Behna tu ye kya jaane
Kaleje ke tukde ko
Roh roh ke bhulana hain

Bhaiya tere angana ki
Main kaise chidiya re
Ho bhaiya tere angana ki
Main kaise chidiya re
Raat bhar besara hain
Subha udd jaana hain
Raat bhar besara hain
Subha udd jaana hain

Yaade tere bachpan ki
Ham sab ko satayengi
Yaade tere bachpan ki
Ham sab ko satayengi
Phir bhi teri doli ko
Kaandha to lagana hai
Bahena teri doli ko
Kaandha to lagana hai.

Baabul Ka Yeh Ghar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download