Badli Hai Zamane Ki Nazar Lyrics - Lata Mangeshkar

Badli Hai Zamane Ki Nazar lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Majboor (1964). The music of Badli Hai Zamane Ki Nazar Sad track is composed by Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah while the lyrics are penned by Anand Bakshi.

Badli hai zamane ki
Nazar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki
Nazar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj
Magar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj
Magar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki
Nazar dekhiye kya ho

Ye raat to dilkash thi
Bade khush the sitare
Tum pas hamare the
To hum pas tumhare
Ab aayi hai najdik
Sahar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj
Magar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj
Magar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki nazar

Ye kashti chali jati
Thi maujo ke sahare
Socha tha pahuch
Jayenge ek roz kinare
Par samne aaya hai
Bhawar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj
Magar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj
Magar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki nazar

bharatlyrics.com

Mushkil mein sabhi dete
Hai us dar pe sadaye
Sunte hai ke sunta hai
Khuda sabki duaye
Magar apni duaao ka
Asar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj
Magar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj
Magar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki nazar.

Badli Hai Zamane Ki Nazar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *