Bhagwan Mil Jaye Samne Lyrics - Asha Bhosle, Mohammed Rafi

Bhagwan Mil Jaye Samne lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi from Shiv Bhakta (1955). The music of Bhagwan Mil Jaye Samne Philosophical track is composed by Chitragupta Shrivastava while the lyrics are penned by Gopal Singh Nepali.

Bhagwan mil jaye samne
Hamko kabhi jo rah mein
Tujhko mita de phir hami
Ya tu mita ja hame

Jise banana use
Mitana kam tera
Mitne wale phir kyu
Lenge naam tera
Mitne wale phir kyu
Lenge naam tera

Jise mitana use
Banana kam tera
Sabar karenge hum
Le lekar naam tera
Sabar karenge hum
Le lekar naam tera

Dharti ka ghar bhara phul se
Taro se aasman ka
Sagar bhar gaye
Bhar na saka tu pet ek insan ka
Dharti ka ghar bhara phul se
Taro se aasman ka
Sagar bhar gaye
Bhar na saka tu
Pet ek insan ka
Jab ho jaye sara
Khel tamam tera
Mitne wale phir
Kyu lenge naam tera
Jise banana use
Mitana kam tera
Mitne wale phir kyu
Lenge naam tera

bharatlyrics.com

Insano ke liye ujala
Karta ghar aasman ka
Insano ke liye ujala
Karta ghar aasman ka
Sukh dekar mukh dekhe tuhi
Dukh dekhe insan ka
Parbhu dukh dekhe insan ka
Bhara hua matlab
Se khel tamam tera
Sabar karenge hum
Le lekar naam tera
Jise mitana use
Banana kam tera
Sabar karenge hum
Le lekar naam tera

Chand dikha kar tune samjha
Duniya sari ban gayi
Par jhopdiyo mein teri punam
Kyu andhiyari ban gayi
Chand dikha kar tune samjha
Duniya sari ban gayi
Par jhopdiyo mein kyu punam
Kyu andhiyari ban gayi
Insano ke ghar se
Dur makam tera
Mitne wale phir
Kyu lenge naam tera
Jise banana use
Mitana kam tera
Mitne wale phir
Kyu lenge naam tera

Tu jo kuchh bhi likh deta hai
Ban jati takdir hai
Tu jo kuchh bhi likh deta hai
Ban jati takdir hai
Teri daya ho to duniya mein
Phir kahe ki peer hai
Parbhu phir kahe ki peer hai
Kyu ro roke naam
Kare badnam tera
Sabar karenge hum
Le lekar naam tera
Jise mitana use
Banana kam tera
Sabar karenge hum
Le lekar naam tera.

Bhagwan Mil Jaye Samne Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download