Bimaar E Mohabbat Ka Lyrics - Hemant Kumar, Lata Mangeshkar

Bimaar E Mohabbat Ka lyrics, the song is sung by Hemant Kumar, Lata Mangeshkar from Tessri Gali (1958). Bimaar E Mohabbat Ka Playful soundtrack was composed by Chitragupta Shrivastava with lyrics written by Majrooh Sultanpuri.

Bimaar e mohabbat ka
Itna sa fasaana hai
Marta hai koi tum par
Jine ka bahana hai
Saansen to hain uljhi si
Dil hai to deewana hai
Marta hai koi tum par
Jine ka bahana hai
Bimaar e mohabbat ka

bharatlyrics.com

Sekhe hain mere dil ne
Andaaz tere dil ke
Sekhe hain mere dil ne
Andaaz tere dil ke
Kuchh aur bhi diwaane
Bechain huye mil ke
Pehlu mein kasak si hai
Honthon pe taraana hai
Marta hai koi tum par
Jine ka bahana hai
Bimaar e mohabbat ka

Dil ne teri surat mein
Ek shamma jalaayi hai
Dil ne teri surat mein
Ek shamma jalaayi hai
Ye raat mohabbat ki
Taqdeer se aayi hai
Dhadkan ki sada sun lo
Khaamosh zamaana hai
Marta hai koi tum par
Jine ka bahana hai
Bimaar e mohabbat ka
Itna sa fasaana hai
Marta hai koi tum par
Jine ka bahana hai
Bimaar e mohabbat ka.

Bimaar E Mohabbat Ka Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download