Bujhe Bujhe Rang Hain Nazaaron Ke Lyrics - Asha Bhosle

Bujhe Bujhe Rang Hain Nazaaron Ke lyrics, the song is sung by Asha Bhosle from Amaanat (1977). The music of Bujhe Bujhe Rang Hain Nazaaron Ke Sad track is composed by Ravi Shankar Sharma (Ravi) while the lyrics are penned by Sahir Ludhianvi.

Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Phoolon ki tamanna ki thhi
Haar mile khaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke

Beeti ruton ko koyi kaise pukaare
Hum kal talak thhe sab ke sab thhe hamaare
Beeti ruton ko koyi kaise pukaare
Hum kal talak thhe sab ke sab thhe hamaare
Aaj mohtaaj hain sahaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke

bharatlyrics.com

Kal zindagi thhi apni sukh ka taraana
Marne ka dhoondhte hain aaj hum bahaana
Kal zindagi thhi apni sukh ka taraana
Marne ka dhoondhte hain aaj hum bahaana
Kaise kaise khel hain sitaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Phoolon ki tamanna ki thhi
Haar mile khaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke
Bujhe bujhe rang hain nazaaron ke
Lut gaye qaafile bahaaron ke.

Bujhe Bujhe Rang Hain Nazaaron Ke Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download