Chaand Maddham Hai Aasmaan Lyrics - Lata Mangeshkar

Chaand Maddham Hai Aasmaan lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Railway Platform (1955). The music of Chaand Maddham Hai Aasmaan Sad track is composed by Madan Mohan Kohli while the lyrics are penned by Sahir Ludhianvi.

Chaand maddham hai
Aasmaan chup hai
Neend ki god mein
Jahaan chup hai
Chaand maddham hai
Aasmaan chup hai

bharatlyrics.com

Dur vaadi mein
Dudhiya baadal
Jhuk ke parbat
Ko pyaar karte hain
Dil mein nakaam
Hasraten lekar
Ham teraa
Intazaar karte hain
Chaand maddham hai
Aasmaan chup hai

In bahaaron ke
Saaye mein aajaa
In bahaaron ke
Saaye mein aajaa
Phir mohabbat
Jawan rahe na rahe
Zindagi tere
Naamuraadon par
Kal talak meharbaan
Rahe na rahe
Chaand maddham hai
Aasmaan chup hai

Roz ki tarah aaj bhi taare
Subah ki gard mein
Na kho jaayen
Aa tere gham mein
Jaagti aankhen
Kam se kam
Ek raat so jaayen
Chaand maddham hai
Aasmaan chup hai.

Chaand Maddham Hai Aasmaan Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download