Chain Milta Nahien Lyrics - Sadhna Singh, Shahid Mallya, Udit Narayan

Chain Milta Nahien Lyrics - Sadhna Singh, Shahid Mallya, Udit Narayan

Chain Milta Nahien lyrics, the song is sung by Sadhna Singh, Shahid Mallya, Udit Narayan from An Unfold Fact Lateef (2015). Chain Milta Nahien Romantic soundtrack was composed by with lyrics written by Gunvantraaj, Shabbir Ahmed.

Laakh manaye dil na maane
Dil ki baatein dil hi jaane
Ajab hai teri ajab khudaai
Ishq ki baatein ishq hi jaane

Chain milta nahi bekhudi mein
Chain milta nahi bekhudi mein
Pyaar jab se aaya zindagi mein
Ho pyaar jab se aaya zindagi mein

Hai ajab saa nasha aashiqui mein
Hai ajab saa nasha aashiqui mein
Pyaar jab se aaya zindagi mein
Oo pyaar jab se aaya zindagi mein

Rog dil ka na koi lagaye
Ab toh tanhaa raha bhi na jaaye
Haan rog dil ka na koi lagaye
Ab toh tanhaa raha bhi na jaaye
Chahaton mein ajab be basi hai
Bekhudi ab toh harpal sataye
Kuch nazar aaye na roshani mein
Kuch nazar aaye na roshani mein
Pyaar jab se aaya zindagi mein
Oo pyaar jab se aaya zindagi mein

bharatlyrics.com

Zindagi mein khushi gham hai shaamil
Gham ko sehna hi deewangi hai
Ho zindagi mein khushi gham hai shaamil
Gham ko sehna hi deewangi hai
Tum se shikva na koi shikayat
Naam tere meri zindagi hai
Dam nikal jaaye ab khushi mein
Dam nikal jaaye ab khushi mein
Pyaar jab se aaya zindagi mein
Hoo pyaar jab se aaya zindagi mein

Chain milta nahi bekhudi mein
Hai ajab saa nasha aashiqui mein
Pyaar jab se aaya zindagi mein
Hoo pyaar jab se aaya zindagi mein.

Chain Milta Nahien Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply